Embracing Your Worth: A Poem on Self-Love, Strength, and Achievement

आत्म अभिव्यक्ति

-By Sarah Khan


Ayy bande na smjh tu khudko kamtar
Kisi aur ka pyaar pane k lye pehle khudse mohabbat kar

Ungliyon pe tumari ginti hazaar hai
Dukhon ka pahad hai, khamiyon ka bazaar hai
Tum chahte ho koi tume mukammal karde
Gam bhoola kar zindagi khushiyon se bharde
Mahv e hairat me tum arzu karte ho magar
Gaflat me rehte ho namanzoori ka hai darr
Ayy bande na smjh tu khudko kamtar
Kisi aur ka pyaar pane k lye pehle khudse mohabbat kar

Thak gaye ho tum chunotiyon ki dodh me
Chahte ho log mazboot bole iss modh me
Rehte ho khudko sabit krne se nakaam
Fir laga dete ho dusro pe galat fehmi ka ilzaam
Jinke hisse buland hain dekhte ho unhe din bhar
Kyu sochte ho nhi hoga, khauf chodke kar guzar
Ayy bande na smjh tu khudko kamtar
Kisi aur ka pyaar pane k lye pehle khudse mohabbat kar

Ulfat me iss jeevan ke, khauf ne li hai dastak
Wajood dhund raha hai jiske saath chalna hai falak tak
Khudpe bharosa na karna kesa hai ye dastoor?
Fitrat me tumare fakr ho, na aaye kabhi guroor
Galtiyon ko sudhaar tu har mushkil se ladh
Rakh khudpe aitbaar aur khoob aage badh
Ayy bande na smjh tu khudko kamtar
Kisi aur ka pyaar pane k lye pehle khudse mohabbat kar



Comments